Jivyansh Bavse
a voice in our circle
Safar ki ek ajeeb Shyam Safar ki ek Ajeeb shyam! Me bhula-bhatka awara sa, Ghumu-Firu Nachu-Gau yehi tha mera mukkam, Raste se guzarte waqt milli ek raha pyaar si, Vahi thaira tha manzilo ka tufan. Pyar mein dhuba safar ke me jaise ashiq parvana, Shama ke bujh ne se pehle chahu Jalna-Jalana, Shyam pyari si avaz mein boli mujhe "zara aur ruk jana", Bholi-Bhali surat dekh mano dil bola "mil gaya bahana?". Gilli mitti ki sugandh, upper khula asman, Jaha tak nazar vaha hariyali, pass me chai ki dukan, Pahad ke upper mandir chota sa, piche bada sa dhalan, Usko lag ke ek lambi nadhi, na dhup na andhera ho rahi thi shyam. Me banjara ja beth gaya pedh ke nich jaha arahi thi hawa tazi, Ruk gaya waqt, thandi hawa chehra chu ke jati, Lagi nind liya jhapki fir tez hawa se bajne lagi madir ki ghanti, Khuli nind dekha shyam dhalne aai Shyam ne di peeth pe thapki. Dekha toh badalo ne pura pahad ghera, Me fir mandir me ja, kuch der thaira , Barish hui tez, hone laga andhera, Na ruki barish to kiya vo raat vahi basera. Subha hui toh suraj sir pe, hui khub dhup , Thak gaya pahad utar ke nadhi ke pass gaya ruk, Chamakti nadhi ka vahi nihar ne laga me rup, Utara nadhi me , ruka dhabe pe, lagi jo zoro ki bhuk. Fir ek bar milli vahi ajeeb si shyam, Na dhup, na andhera bas khula asman, Mene kaha, " abh na rokna mujhe hai jana", Toh kehne lagi, "khushi se jao lekin, milne zarur aana" ~ Jivyansh Bavse.